logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - mir hasan mir - 2009

Koi ghaybat mei

koi ghaibat may baitha khoon ke aansu bahata hai
usay zainab ka jab bazaar jaana yaad aata hai

koi ghamkhar ghaibat may mayassar hi nahi usko
so tanhaai may har nauha wo khud ko hi sunata hai
koi ghaibat may baitha...

unhi galiyon may chal chal kar jahan chalti rahi zainab
nishan zainab ke qadmon ke wo haaton se mitata hai
koi ghaibat may baitha...

baqiye may sadaye wa hussaina goonj uth'ti hai
wo jab bhi qabre zehra aake seene se lagate hai
koi ghaibat may baitha...

nahi thamte hai uski aankh se aansu kisi soorat
usay baysheer ka jab muskurana yaad aata hai
koi ghaibat may baitha...

pidar ki godh ki khaatir sakina jab bhi roti hai
wo lori baap ke lehje may beti ko sunata hai
koi ghaibat may baitha...

khayal aata hai jab bhi parda e zainab ka mehdi ko
kabhi talwaar par wo haath rakhta hai hatata hai
koi ghaibat may baitha...

wo hujjat hai usi ka kaam hai is dard ko sehna
kisi khaaki ke dil may john ye gham kab samaata hai
koi ghaibat may baitha...

HomebookmarkmybayaazSetting